Header Ads

" Bharat Mata Ki Jai Card " भारतीय मुस्लिम को बनवाना आवश्यक है

Bharat Mata Ki jai yeh ek aisa shabd hai jisse hindu dharm ke log bol kar garb mehsus karte hai aur khud ko Bharat Mata ka putr smajhte hain, Jis cast ke log jaise Bharat ka musalman Bharat Mata Ki Jai nahi bolte to unhe desh ka gaddar samjha jata hai. Bharat sarkar ko chahiye ke aadhar card ya voter ID card na bna ke Bharat Mata Ki Jai card bnana shuru kr deni chahiye. Jo desh bhakti ka bahut bada parmaan patr hoga aur jis ke paas ye Bharat Mata ki Jai card nahi hoga usse Pakistan bhej diya jaye.

Ye shabd kaise shuru hua kahan se shuru hua agar iska matlab puchha jaye to shayed 98% Bhartiye desh bhakt Hindu uttar nahi de payenge lekin kisi muslim se Bharat Mata Ki Jai bolwane ke liye uski jaan bhi le sakte hain aur isme unko koi apatti bhi nahi hoti hai kyun ke Bharat Sarkar khud unko permission di hai. Kya really ek desh kisi ki mata ho sakti hai? Puri duniya apne desh ko mata nahi bolti hai phir Bharat me hi kyu Bharat Mata ki Jai hoti hai?

" Bharat Mata Ki Jai Card " भारतीय मुस्लिम को बनवाना आवश्यक है
" Bharat Mata Ki Jai Card " भारतीय मुस्लिम को बनवाना आवश्यक है

" Bharat Mata Ki Jai " ke bare me PM Modi kya kahte hain?

Jis desh ka PM itna achha sonchta ho, apne janta ki fikr karta ho uske bare me kuch likhna thik nahi hoga.kyun ke "baat niklegi to door talak jayegi".Lekin ye jrur likhunga ke PM Modi Ji aap ne desh ka bhaichara chhin liya. Pura desh nafrat ki aag me jal rha hai aur ye Bharat ki shaan nahi hai, Bharat ki ekta hi Bharat ki shaan rahi hai aur rahegi.

Haan to mai ye likhna chah rha tha ke Bharat Mata Ki Jai ke baare me PM Modi ka kya byan hai.
PM Modi like to say Bharat Mata Ki Jai
Bharat Mata Ji Jai By PM Modi
Ab aap hi btayen ye kis ke baare me bolna chah rahe hain? akhir kaun Bharat Mata Ki Jai nahi bolta hai? PM Modi anti-nation kis ko btana chah rahe hain. is baat se desh ke janta ki sonch kahan le jayegi? Ye desh bhakti ka parmaan hua ya nahi??

Isliye ye likhne pe majboor hun ke Bharat ke har musalman ko Bharat Mata Ki Jai Card banwa lena chahiye wrna kuch bhi ho skta hai.

Bharat Ka Muslim kabhi nahi bolega "Bharat Mata Ki Jai"

Akhir "Bharat Mata ki Jai" Bharat ka musalman kyu nahi bolega?iski bahut badi wajeh hai,hum iske bare me thodi der se charcha karenge pahle is baat ki charcha karte hain ki Bharat ka muslim "Aye Maadre watan Zindabaad" bolta hai. Akhir iska kya matlab hota hai? main yhan iska matlab nahi likh sakta kyu k aap pe chhodta hun ke aap iska kya matlab samjhte hain aur nikalte hain.

Kya Hindu apni maa ko mata bolte hain to bahut pyar karte hain aur muslim apni maa ko ammi ya amma bolte hain to pyar nahi karte hain??

Pahli baat to ye hai ke muslim desh ko apni maa nahi samjhte hain, sirf apne paida karne wali maa ko hi maa samjhte hain, Muslim Allah ke siwa kisi mata ke samne apna matha nahi tek sakte hain. Apne paida karne wali maa ke samne matha nahi tekte hain phir desh to bahut door ki baat hai.

Muslim apne paigamber Hazrat Mohammed ke samne matha nahi teke aur na hi iska unhe anumati hai. Hazrat Mohammed ke qabr pe bhi matha nahi tekte aur na hi unhe aisa karne ki anumati hai. Muslim Allah ke siwa kisi ke aage apna matha nahi tek sakte isliye Bharat Mata ke aage bhi matha tek ke jai nahi bol sakte hai. ye Allah ke sath shirk hota hai aur ye Islam me bahut bada paap hota hai. Isliye Bharat ka musalman ye shirk nahi kr sakta hai.

Shirk ke bare me thodi se ye baat btata chalun kyun ke kuch log ye comment kar sakte hain ke muslim to bahut saare galt kaam karte hain to kya paap nahi hota? Shirk yani Allah ke sath kisi ki brabri karna ya Allah ko chhod ke kisi dusre ko Allah ke brabar samjhna ye shirk hota hai. Aur shirk ke bare me Allah kahta hai ke " mai tumhari saari ki saari galtiyan maaf kar sakta hun lekin shirk ko kabhi maaf nahi kr sakta" isliye Bharat ka musalman Bharat Mata ki Jai bol de apna Iman khatre me nahi daal sakta hai.

Bharat Mata Ki Jai nhi bolne ka ye matlab nahi hai ke Muslim ko apne desh se prem nahi hai, Bharat Mata ki jai is baat ka bilkul parmaan nahi hai ke jo bolega wahi desh bhakt..Desh se pyar dekhane ke liye nautanki ki jarurat nahi hai. Muslim apne desh ki izzat karta hai,maan maryada rakhta hai,apni aan baan shaan samajhta hai, apne jaan se bhi jyada mohabbat karta hai, har pl apne desh pe mar mitne ka jazba rakhta hai. 

Abhi tak desh ki taraqqi ya desh ki hifazat me musalmano ka kya hissa raha hai ye mujhe yhan btane ki jrurat nahi hai. ek slogan jo Bharat ko tabaah karne pe tula hua hai isse kirpya hawa na den.

Hmara dharm Bhartiye hai, hume politics ka shikar nahi hona chahiye. Politics ka kaam hai janta ko sukh suvidha dena, janta aur desh ki taraqqi ke baare me sonchna. Politics ka ye kaam nahi hai ke chhoti chhoti baton me uljha ke desh ki janta ko aapas me ladwana. Agar politics saadhu sant ya mulla molwi ka kaam karenge to phir inka gyan kis kaam ke liye.Dharm ka gya lena hai to apne dharm gyani ke pas jayen na ke political neta se dharm ka gyan len aur unki baaton me pad ke Bharat Mata Ki jai bolne ke liye kisi begunaah ki jaan lete rahen.

" Kya Bharat Mata Ki Jai " ek paakhand Hai

Hindu friends se ek question puchhna chahta hun..kya abhi tak aap se kisi dharmguru ne ye bola hai ke agar tum Bharat Mata Ki Jai nahi bologe to tum Hindu nahi rahoge?? Ya tum Bharat Mata Ki Jai nahi bologe to tum desh Bhakt nahi rahoge?? Mujhe puri umid hai ke aaj tak koi bhi dharmguru ye baat nahi bola hoga. Ab aap btayen dharm ki baat dharmguru btayega ya ek neta? agar aap ki death hoti hai to aap ke kirya kram ke liye ek pandit aayega ya neta? Agar aap ko ek neta dharm sikhata hai to apne kirya kram ke liye phir ek neta ko hi bulayen,kisi pandit ki kya jrurat hai?

Jab aap se means kisi hindu friends se aaj tak koi dharmguru ye nahi bola hai ke Bharat Mata Ki Jai bolna aniwarj hai to phir aap is slogan ko itna hawa kyu de rahe hain aur isse hinu hone ka seal mohar kyu samajh rahe hain? Agar aisa nahi hai to Bharat Mata Ki Jai bolna ek Pakhand hi to hai...ye sirf sainik ka slogan hai ye unhi tak rahne den.

Main abhi tak km se km 15-20 Hindu Dharmguru se mila hun sirf is baat ko janne ke liye ke kya hindu dharm me Bharat Mata Ki Jai bolna jruri hai? Kya ye hindu dharm ke kisi granth me likha hai? kisi mahatma ne mujhe ye nahi btaya ke ye kisi granth me likha hai ya isse bolne se hindu dharm ka koi lena dena hai. Mahatmaon ne khud bola ke ye Indian politics ka ek slogan hai jo nafrat paida karne ke liye kiya jata hai.

Summary

Aap ka apna Holywisher ye aap se anurodh karta hai ke desh ke baare me sonche,desh ki bhalayi ke baare me sonchen,khud ka utna hi khyal rakhen jitna apne ek padosi ka aapas me mohabbat paida karen na ke politics ke chakkar me Bharat Mata Ki Jai na bolne pe kisi ki jaan lelen. Slogan aate jate rahenge, neta aate jate rahenge, desh ki kursi pe neta baithte utarte rahenge lekin aap is dharti pe is desh me phir se nahi aa sakte. Bharat Mata Ki Jai hoti rahegi, log Maadre-watan zindabaad bolte rahenge lekin hum aap nahi honge. sirf humari bhaichara aur mohabbat ke charche reh jayenge ya phir nafrat ki kahani. aaj se hum ye wada karen ke Bharat Mata Ki Jai ke liye hum kisi ko hurt nahi krenge.

No comments

Powered by Blogger.