Header Ads

Islam me Zakat kya Mullaon ki jageer Hai?

Islam me Zakat kya Mullaon ki jageer Hai?: Zakat ke bigadte huye roop ke baare me ye post hai.Din pe din Islam me Zakat dene aur lene ki rang roop bigadta hi ja raha hai. Aisa lagta hai ke Zakat mullaon ki jageer ban gya hai. Aaj mai aap ko btaunga ke Zakat kya hai aur ye kis ke liye hota hai.

Aaj ke daur me Zakat ko manmani istemal kiya ja raha hai,dene wale ne de ke apna farz pura kar liya lekin lene wale ne kya kiya isse koi matlab nahi hota hai, kya aap ko janne ka farz nahi hai ke aap ka diya hua Zakat kahan gya aur kaise kharch hua? Agar aap ne janne ki koshish nahi kiya to aap ne apna farz pura bhi nahi kiya.

Islam me Zakat kya Mullaon ki jageer Hai
Zakat ka sahi tariqa

Zakat Islam ka teesra Farz Hai

Islam me teesra farz Zakat hai,Allah ne har maldaar musalman pe farz kiya hai. Agar maldaar musalman ke paas kam se kam 40 rupees hai aur us rupees ka rakhe huye ek saal pura hogya to us rupees me ek rupees kisi ghareeb rishtedaar,kisi muhtaaz,kisi miskeen,kisi nye muslim (jo abhi abhi Islam qabool kiya ho aur uski halat thik nhi ho). kisi musaafir,kisi qarzdaar insan ko dede. 40 rupees ka ek example diya gya hai isko maldaar hone ka standard na bnaya jaye.

Allah ne ameeron ki daulat me ghareebon ka km se km 2 1/2% (dhayi fisad) hissa fix kar diya hai, yha ek baat ka zikr kar dena lazim samajhta hun ke Rasool Khuda ne apne khandan ke logon ko yani Syed aur Hashmiyon ke liye zakat haraam kar di hai. Hashmi pe zakat dena to farz hai lekin lena farz nahi hai. Jo shakhsh kisi ghareeb syed ya hashmi ki madad karna chahta hai usse tohfa (gift) ya Hadia diya kare.

Zakat ke dhayi fisad (2 1/2%) se jyada agar koi kuch de to ye ehsan hoga jis ka sawab aur jyada milega. Ye zakat Allah ko nahi pahuchta hai, Allah tumhari kisi chiz ka muhtaz nahi hai, lekin Allah ka hukm hai ke agar tum ne apni khushi se sirf meri khatir apne kisi ghareeb bhai ko kuch diya to samjho mujh do diya. Us dene ke badle Allah tum ko kyi gunna jyada badla deta hai.

Ek shart ye bhi hai ke agar kisi ko zakat den ya zakat ke alawa kuch den to tum ko ehsan na jatao, usko jaleel aur haqeer na karo. tum ye bhi koshish kro ke tumhari us zakat ka logon me charcha ho aur log tumhari tareef karen ke wo saheb bahut dene wale hain,bahut bade data hain, Agar in sabhi napaak khayal se apne dil ko paak rakhoge aur sirf Allah ki khushi ke liye apni daulat me se ghareebon ka hissa doge to Allah ka wada hai ke Allah aise dega jis ka tum kabhi gumaan bhi nahi kiye hoge.

Zakat sirf rupees ka hi nahi nikalta hai

Zakat sirf rupees ka hi nhi hota balke sona chandi ( Gold, Silver) Business ka paisa,janwar, genhu (wheat,rice) kisi bhi trah ka anaaz ho,har chiz me se zakat ka dena lajim hai. Ab zakat dene ki kya miqdaar hai ye aap feqah ki kitaab se hasil kar sakte hain. upar 40rupees ki ek misal (example) de kr btaya gya hai.

Zakat ka maqsad

Islam me jis trah baqi 4 farz hain- Tauheed, Namaz, Roza, Hajj, usi traha Zakat bhi farz hai. ye Islam ka bahut bada rukn qrar diya gya hai, ye musalmano me khuda ki khatir qurbani dene ka siffat paida karta hai. Zakat ka Islamic maqsad ye hai ke musalman apas me ek dusre ki help karen. koi musalman bukha nanga aur jaleel na rahe,jo ameer hai wo ghareeb ko sambhal len aur jo ghareeb hain wo bheekh mangte na phire.

Koi shakhsh apni daulat ko sirf apne aish aur aram aur apni shaan aur shaukat pe hi na uda de,blke ye bhi yaad rahe ke us ke maal me us ke qaum ke yateem,bewaon aur mutazon ka bhi haq hai. us me un logon ka bhi haq hai jo kaam karne ki qabliyet rakhte hain lekin kisi majburi ki wajeh se nahi kar skte.

Islam me Zakat ka bigadta hua roop- kya Mullaon ki jageer Hai?

Zakat ka aaj kal lgbhag mazq hi udaya ja rha hai,aisa lgta hai ke madarse ke mullaon ki jageer hogyi hai, madarse me zakat dena kis hadd tak sahi hai ye aap ko janna bahut jruri hai. aap ka zakat sahi jgeh ja raha hai ya nahi ye tahqeeq karna aap pe farz hai.

Zakat kisi ghareeb rishtedaar,kisi muhtaaz,kisi miskeen,kisi nye muslim (jo abhi abhi Islam qabool kiya ho aur uski halat thik nhi ho). kisi musaafir,kisi qarzdaar insan ko dede. kis bewa ko jis ka koi kamane wala nahi ho. aise logon ko zakat dena farz hai aur lajim hai. kya aap ne kahin ye padha hai ke madarse ko zakat dena chahiye? 

Haan aap ne ye padha hoga ke chunki ghareeb yateem bhi madarse me padhte hai isliye madarse ko zakat ka maal dena chahiye. kya aap ne ye tahqeeq kiya hai ke madarse me kitne ghareeb miskeen aur yateem bache padhte hain? 

Zakat aur madarse ki halat

Main is ke khilaf nahi hun ke aap apna zakat madarse me kyu dete hain, mai iske khilaf hun ke kya zakat ka maal islamic tariqe se kharch kiya jata hai?kya madarse me ghareeb aur yateem bacho pe zakat ko kharch kiya jata hai jaisa ke islam me hai?

Aap maloom karo ke kisi madarse me kitne ghareeb aur yateem bache padhte hai. Pahli baat ko ghareeb aur yateem bachon ka dakhla (admission) hi bahut mushkil se kiya jata hai. kyu ke us ghareeb ke yhan se zakat milne ki koi umeed nahi hoti hai. Agar kisi traha dakhla (admission) ho bhi gya to sirf usko khana ke siwa kuch bhi nahi dete hain.

Jab ye farz hai ke ghareeb aur yateem bachon pe zakat ka pura maal kharch kiya jaye, uska kapda kitab,dukh bimari ka sab kharch diya jaye aur ye bhi maloom kiya jaye k agar uske ghar me behaali hai koi kamane wala nahi hai to uske ghar ko bhi madad kiya jaye. Lekin aisa kuch bhi nahi hota hai.

Agar kisi madarse me 500 bache hain to usme sirf 10-15 bache ghareeb aur yateem hote hain phir bhi zakat ka maal un pe sahi se kharch nhi kiya jata hai. Madarse ka teacher bhi zakat ka khana khata hai.kya usko ye khana thik hai??

Zakat ke maal se madarse ki building banti hai aur teachers ki salary bhi di jati hai kya zakat ke maal se ye sab karna thik hai??kya zakat ke maal ko is trah se istemaal karne ki ijazat Islam deta hai?? agar nahi deta to aisa kyu hota hai?

Zakat ke maal ka bandar baant
Aap ne zakat de diya aap ka farz pura hogya ye aap ka sonchna hai...Lekin Allah ka hukm hai ke apna maal sahi jageh kharch kro,jo uska haqdaar hai us tk pahucha do. aap ne aisa kiya?? Nahi aap ne apna farz pura kiya apne dil ko itmenan pahucha liya. Lekin Allah ka hukm pura nahi kiya.

Aap ke zakat ke maal ka generally 33% pahle udd jata hai.lag bhag aksar madarse ka ye rule hai ke 33% zakat ke maal ko wasool karne wale ka hi hissa ho jata hai jabke us tahseeldar ki salary bhi madarsa deti hai.Kya Nabi pak ya Khulfaye Rashdeen ne aisa kiya?? nahi kiya...

33% ke baad bhi kitni loot paat huyi ye Allah janta hai...mai khud bahut saare madarse ko janta hun jis k list me teachers aur tahseeldar do saal se jyada ke raseed ka hisab madarse ko nahi diye hai. Aise aap ke zakat ka bandar baant ho jata hai phir kuch hissa madarse ko jata hai aur uska kaam chalta hai.

Madarse me teachers ka khana,madarse ki building, teachers ki salary ye sab zakat ke maal se hota hai jo kisi trah bhi jayez nahi hai.ghareeb aur yateem bachon ko pahle to jaldi admission nahi liya jata hai agar admission ho bhi gya to sirf khana ke siwa kuch bhi nahi diya jata hai. phir aap ke zakat ka maal kahan jata hai?

Aksar maldaar bache bhi madarse me padhte hai aur wo bhi zakat ka maal khate hai, waise maldaar bachon ka admission bahut jaldi ho jata hai kyu ke un ke yhan se puri puri zakat milne ki umid ban jati hai.kya madarse ko apna system change nahi karna chahiye?

Madarsa ka nizam kaisa ho

Madarse me 60-70% maldaar bacho ka admission hona chahiye jo apna kharch madarse ko de sake means ek fix amount fee honi chahiye. jo musalman deeni education apne bache ko dena chahega wo jrur kharch dega.agar nhi dega to uska admission kisi bhi haal me nahi hona chahiye aur kisi bhi madarse me nahi hona chahiye. ye sab madarse ka rule hona chahiye.

60-70% jo fee ki raqam hogi usse madarse ke teachers ki salary deni chahiye aur logon se alag se building bnane ke liye madad leni chahiye. Teachers apne kharch pe madarsa me padhayen aur madarse ka khana na khayen. Madarse ka koi bhi chiz apni personal jrurat ke liye istemal na karen.

zakat ka pura maal ghareeb aur yateem bachon pe kharch kiya jaye agar un bachon ke ghar wale muhtaz hain to ye zakat ka maal un ke ghar pe bhi kharch kiya jana chahiye. Zakat ke maal ko apni jageer samajh ke na udaya jaye. ye Allah ki khushi ke liye diya hua maal hai. waise bhi aaj kal ghareeb miskeen kitne log hain?? sab se sab aise hai jo apne bachon ko padhane ke liye ek moti raqm de sakte hain.

Bahut km hi log aise hai jo is layeq nahi hai apne bachon ko padhane ke liye kharch nahi de sakte aur aise logo apne bachon ko padhana bhi nahi chahte kyu k wo chahte hain ke bacha kuch kaam karega to ghar ka kharch chalega agr aise me zakat ke maal se unke ghar ka kharch chalay jaye aur un ke bachon ko padhaya jaye to kya galt hai??

Aaj kal sab se bada miskeen aur ghareeb ye madarse ke mulla hai jo zakat ka maal khate hai,zakat ke maal se salary lete hai aur na jane kya kya karte hai. agar yahi haal rha to musalmano ki kya halat hogi ye mujhe btane ki jrurat nahi hai. har area me Baitul-maal bnaya jaye jahan zakat ka maal jama ho aur whan se jruratmand logon ko diya jaye.

Summary

Zakat ke maal ko sahi jageh pahuchana aap ka farz hai..aap is farz se nahi bhag sakte. mujhe umeed hai mere is post se aap ko kuch baat samjh me ayegi. mujhe comment kar k btayen ke aap ki kya sonch hai. Jis trah thik tariqe se zakat dena farz hai uski trah se sahi aur haqdar ko pahuchana aap pe farz hai. 

No comments

Powered by Blogger.